from the blog of direkishore

June 17, 2006

http://direkishore.blogspot.com/

ab ke hum bichhade to shaayad kabhii khwabon mein milen jis tarah suukhe hue phool kitaabon mein milen

<FONT size=1>(bichhade:part; shaayad:perhaps; khwab:dreams; suukhe phool:dried flowers)</FONT>

dhuundh ujade hue logon mein vafaa ke motii ye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon mein milen

<FONT size=1>(ujade hue:lost in desolate fogs; vafaa ke moti:pearls of loyalty; khazaane:treasures; kharaabon:dark misfortune)</FONT>

tuu khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa dono insaan hain to kyon itne hijaabon mein milen

<FONT size=1>(khudaa:God; farishtey:angels; insaan:mortals; hijaab:veils)</FONT>

gam-e-duniyaa bhii gam-e-yaar mein shaamil kar lo nashaa badataa hai sharabein jo sharaabon mein milen

<FONT size=1>(gam-e-duniyaa: tragedies of life; gam-e-yaar: pathos of love,friendship; nashaa: intoxication; sharaabein: liquor)</FONT>

aaj ham daar pe kheenche gaye jin baaton par kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milen

<FONT size=1>(kheenche gaye:tore us apart; nisaab:fate)</FONT>

ab na vo main huun na tu hai na vo maazii hai `Faraaz’, jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milen

<FONT size=1>(maazi:past; tamanna ke saraabon: mirage of desire)</FONT>

Lyrics: Ahmed Faraaz Singer: Mehdi Hassan Album: Classical Ghazals, Vol 3